Sunday, July 20, 2014

Zara dekho meri aankhon se



Kaun kehta hain ki aap zinda nahi ho?
maati ka sharir maati mein mil gaya hain islie?
Aankhon ki chamak shamshan mein bhasm ho gai islie?
Ma ki maang suni ho gayi thi islie?
ya aapke naam ke pehle ub "swargiya" lag gaya hain islie?
 
Mein nahi maanta - meri aankhon se dekho zara zinda ho aaap ...

Ma ke sune aankhone ke nami mein zinda ho aap.
Didi ke daattne ke andaaz mein zinda ho aap.
mere soch ke tark mein zinda ho aap.
Jijaji ke prernao mein zinda ho aap.

zara dekho meri aankhon se zinda ho aap...

Mere tarrakki pe aapke asheesh ka hona!
Zindagi kein har lamhe mein utsav ka hona!
Ghar ke sannate mein bhi aapke geet ka hona !
Bachhi ke pehle shabdo mein nanu ka hona!

kya inse aapki pehchan nahi hoti ?
Kya inse aapka astitva nahi banta ?

Zara dekho meri ankhon se zinda ho aap...

Mere sidhanto ka adhar ho aap.
Mere zimmedari ka jasba aap hi ki den hain.
Ma ke muskurahat men bhi aap hi ki yaad hain..
Ma ke aankhon ki chamak mein aap hi ki chavi hain..

Zara dekho meri ankhon se yehi hai aap humere paas...
Zara dekho meri ankhon se aap ko apna astitva dikh jaega

Ek baar mehsus karo mere bhavnao ko papa
aap hi ke padd chinho mein khara paoge mujhe ....

No comments: