Sunday, March 2, 2014

zindagi ka afsana








zindagi ka afsana
....................................................

har din ke baad raat aati hain,
   zindagi ka yehi afsana hain..

har shuruat ka unt hota hain,
    zindagi ka yehi afsana hain..

har ujale din ke baad andheri raat aati hain,
   zindagi ka yehi afsana hain..

har jeev ki mrityu hoti hain,
   zindagi ka yehi afsana hain..

                                                          lekin ....

chote se phul ke khilne se bhi humein khushi hoti hain,
  zindagi ka yeh  bhi afsana hain..

thori si koshish se andheri raat mein machis mil hi jaati hain,
   zindagi ka yeh bhi afsana hain ..

navjaat ke muskurahat se zindagi ka har dard khatam ho jata hain,
   zindagi ka yeh bhi afsana hain..

aksar andheri raaton mein chandni raah dikha deti hain,
  zindagi ka yeh bhi afsana hain ...

har mrityu pe kahi aur koi janam bhi leta hain ,
   zindagi ka yeh bhi afsana hain ..

Matti ka bana insan matti mein hi mil jaata hain..
    zindagi ka yeh hi afsana hain....

.....................