kabhi aao tum samudar tut pe,
rakhon pao rait ke thul pe ,
jub rok na paoge raiton ko pairo tale ,
tab samjhoge tabdili hi jeevan ka astitva hain ,
tab samjhoge asthai jagat ka har rang hain.
kabhi aao tum samudar tut pe,
sparsh karo raiton ki halchal,
agar tol sako to tol lena har us rait ko jisko samundar ne tumse cheena,
agar tol sako to tol lena har uss lehar ko bhi, jiski varsha samundar ne tumpe ki ,
tab samjhoge ki niyati jitni sukh tumse cheenti hain usse kai jyada khushiyon ki warsha tumpe karti hain ,
tab samjhoge ki tumhare pairo tale ki rait tumhari nahi waqt ki gulaam hain.
kabhi aao tum samudar tut pe,
zara suno lehro ki boli,
jub shant na karwa paoge lehron ke goonj ko,
tab pehchanoge apne shamata ke dayere ko.
kabhi aao tum samudar tut pe,
zara bheeo lehro ke bhav se,
tab samjhoge ki lehro ki gati humare vash ke bahar hain pur hur leher se hum kinta prahav hote hain yeh humare vash mein hain .
kabhi aao tum samudar tut pe,
zara dekho uss vishal vyaktitva ko ,
jub aankhon se uski seemao ko na naap paoge,
tab apne mun ki udarta ko pehchanoge.
Kabhi aao tum samudar tut pe...
2 comments:
whoa!!
its just so mesmerizing...
Thank you so much :)
Post a Comment