Wednesday, August 3, 2011

Maine haar nahi maani






Nahi maine haar nahi maani ,
maana tujhe ek jhuka hua mastak dikh raha hai ,
lekin tujhe us jhuke hue mastak mein mera shaurya nahi dikh raha !


Nahi maine haar nahi maani,
maana tujhe mera behta hua lahu dikh raha hai ,
lekin tujhe us behte hue lahu mein mera tej nahi dikh raha !


Nahi maine haar nahi maani,
maana tera chehra harshit aur mera chinteet dikh raha hai ,
lekin tujhe iss chinteet chehre ke piche urjaa se bhari meri ruh nahi dikh rahee !


Nahi maine haar nahi maani,
maana tere hath mein talwar hai aur mein Nishastra hun,
lekin mere soch ke pankh ki shakti se agyat hai tu !


Nahi meine haar nahi maani,
maana tuh andhero ka shehanshah hai aur mein ek bhatakta hua raahi,
lekin apne sapno ke prakash se mein apna raasta khud bana sakta hu ,
is baat se anjaan hai tu !



Nahi maine haar nahi maani !

No comments: