Na chand apne chandni se andheri raat ko saja raha tha,
na suraj sharma raha tha aasman se,
bus sirf hum aur tum the, aur sath thi humari uljhi hui parchhaiyan.
Na panchiya pyar ke nagme gaa rahee the,
na samudre kee lehre gungana rahi thee,
bus sirf hum aur tum the aur sath thi khamoshiya.
na phul apni rang se jag ko rangeen kar rahe the,
na titliya rangeen udaan bhar rahi thi,
Bus sirf hum aur tum the safed aur kale chadar ko odhe hue .
Na paiso ka raub tha,
na suandarya ka ghamand,
Bus surf hum aur tum the aur humare beech the shikwe .
Kab tak rehte hum ese aamne saame ,
sath hoke bhi meelo alag .
Kab tak ek dusre ki aankhon mein hum dard ki parchai ke kajal ko niharte ....
kajal ko to behna hi tha,
sholo ko to barasna hi tha,
sannata to dur hona hi tha,
hume alag to hona hi tha ...
Chal diye hum ek dusre se alag kahi dur,
jahan hum dono ko shikwe na ho ,
jahan hum dono ne sirf safed chadar odha hua ho ,
jahan hum dono ki aankhon mein khushi ki chamak ho,
jahan hum dono ko hi chidiyon ke meethe nagame sunai de,
jahan hum dono ko doobte suraj ke lalima mein khuda dikhe,
jahan hum dono ko chand kee sheetal parchai mein thandak mile,.
jahan phool rangeen ho aur titliyan rang baant rahi ho,
jahan hum dono saath bhaleh hi na ho lekin humari rooh muskura rahi ho,
jahan hum dono aamne saamne bhaleh hi na ho lekin humari manzil ek ho,
jahan bhaleh hi hum ek dusre se na mile lekin khuda humari khushiyon se guftagu karwa de ..
..........................................................................................................................................................
4 comments:
Hey Arnav...nice one yaar...keep writing...Is this your first poem?
@Prashanth - Thanks . Nope .
Here are the other poems I wrote :
http://voiceoftheenigma.blogspot.com/search/label/Poems
Zarror ho khusiyuon se aapki guftgu !
Beautiful ,i am impressed Arnav.
@kavita - Thanks a lot :)
Do keep visiting
Post a Comment