Wednesday, July 2, 2008

Aaj Azaad hun mein

kul tak tha mein heran apne takdir par,
kul tak sochta tha ki mein hi kyun, kul tak tha pareshan apne hi astitiva se,
kul tak darta tha khushi se,
kul tak tha keidi apne hi dar ka, ....
par aaj azaad hu mein,
upne bewakufi par hasta hun mein ,
aah samjha hu ki ha mein hi hun apne dar ki wajah,
aaj samjha hu ki khushiya mere hi aas paas udh rahi thi par maine akhe jo bund karli bhala kaise dekhta unhe ,
par aaj mein hur ek khushi ko mehsus kartah hun,
aaj samjha hu ki mere zindagi ki dor mere hi hath mein hain,
ha mein hi hu woh jiske paas pura aasmaan hain urne ko,
ha azaad hu mein

2 comments:

Anonymous said...

Sky is the limit... But freedom has its price. I will write on that sometime. :)

Cheers!

Anonymous said...

"SELF REALIZATION IS THE KEY TO HAPPINESS SO BELIEVE IN YOURSELF "