Saturday, July 16, 2011

Kal ki sachai









Ek sapna hi to hai, 
  jo haqeeqat ke andhere mein roshni ki kiran dikhata hain, 


Ek sapna hi to hai, 
   jo kaid hue ruh ko azaadi ke pankh dilata hain,


Ek sapna hi to hai,
   jo behte hue askon mein khushiyon ki chamak bikherta hain,


Ek sapna hi to hai,       
  jo  khaulte hue lahu ko him ki sheetalta deta hain,


Ek sapna hi to hai,
   jo insaan ko waqt ke daud mein pratham laata hain.


Fir kyun insaan sapno se dur bhagta hain? 


Fir kyun insaan sapno ko haqeeqat ke zanziron mein kaid kar deta hain? 


Fir kyun insaan sapno ki shaqti ko kamzori samajhta hain?


Fir kyun aane waale peedhi ko yeh samjhaya jaata hain ki sapne sach nahi hote?


Aakhir kyun insaan apne sapno ko dafnaye zamaane ke sachai pe  jeeta hain? 




kab jaanega insaan ki khushiyan khud ke sapno mein hoti hain naaki duusro ke haqeeqat mein !


Kab jaanega insaan ki sapne hi andheri raaston mein roshni bikherte hain !


Aakhir kab jaanega inssan ki aaj ke sapne hi kal ki sachai  hote hain ....  !